Sunday, August 9, 2020

 Buraa Waqt


Main Kaun Hoon


Saturday, June 8, 2019

Woh


aankhon mein saare dard chhipaa ke
zamaane ke saamne bas muskuraayegaa

use log kal bhi deewaanaa kehte they
woh aaj bhi deewaanaa hi kehlaayegaa

sazaa bhugat chukaa hai mohabbat ki
ab bas mohabbat hi nahi kar paayegaa

aaj bhi hai use intezaar kisi kaa
woh yunhi intezaar kartaa jaayegaa

Thursday, May 16, 2019

Gum liye baithaa hoon


ishq  naa  karungaa, yeh  kasam liye baithaa hoon
toote  huwe  dil kaa  main ghum liye baithaa hoon

bheegey  se  ehsaas  baras  naa  jaayein  kahin  aaj
aankhon  mein  fir  se shabnam  liye  baithaa hoon

kabhi  bas naam teraa is dil mein mere rehtaa thaa
yaadon  mein ab saare tere sitam liye baithaa hoon

kisine  kaha  hai  likhne  se  dard  halkaa hotaa  hai
tabhi  haathon  mein  aaj  kalam  liye  baithaa hoon

naa koi  maqsad  hai, naa  hi  koi  manzil  hai meri
bewajah  hi shaayad  yeh  janam liye baithaa hoon


Tuesday, April 30, 2019

Sataate They Woh


nazar mil jaaye to nazar churaate they woh
jaane kyun mujhse itnaa sharmaate they woh

main kabhi samajh hi nahi paayaa ki kyun 
meri har kisi baat pe muskuraate they woh

poochhlun unse kyaa baat hai muskuraane ki
mere us baat ko bas hasi mein udaate they woh

paagal banaate they adaaon se saamne reh kar
raat mein khwaabon mein aake sataate they woh


Monday, April 29, 2019


Tum se hi



tum se hi
sab baatein hain
tum se hi
yeh saansein hain

tum baadal ho
tum baarish bhi
tum se hi
har mausam hai

tum nadi bhi ho
tum jharnaa ho
tum se hi
to saagar hai

tum chaahat ho
tum mohabbat ho
tum se hi
har dhadkan hai

is shaayar ki
tum khwaahish ho
tum se hi
har ghazal bhi hai

tum anamika
tum kasak bhi ho
tum se hi
yeh Hriday bhi hai

Saturday, February 2, 2019


kuch yaadein thi saath hamaare,
kahin kisi kone mein padi hongi,
kuch baatein thi khaas tumhaari,
woh tanhaayi mein tadapti hongi...


Mere aansuon ki kahaani


aansuon se apne kuch yun main nikhartaa rahaa
kabhi jeetaa rahaa, to kabhi main martaa rahaa

yeh pataa hi nahi, ki thaa mujhe jaanaa kahaan 
main kabhi chaltaa rahaa, kabhi thahartaa rahaa

taanhaayi kaa aalam, kuch yun rahaa mere yaaron
tanhaa rahi raatein, tanhaa din guzartaa rahaa

keh paayaa nahi dil ki main baat kabhi kisi se
baat dil mein dabaake toot_taa bikhartaa rahaa


Sunday, September 9, 2018

Dekho naa


khud  ko  meri baahon  mein bhar ke to dekho naa
meri   baajuon  mein  tutke bikhar ke to dekho naa

doob jaaun  tumhaari nasheeli aankhon mein main
tum bhi  meri  aankhon mein utar ke to dekho naa

bheeg   jaao   chaahat  ki  baarish  mein  meri  tum
meri mohabbat mein sajke sanwar ke to dekho naa

badi  haseen  cheez  hai  mohabbat  jaan loge tum 
tum  mujh  sangh  hadd se  guzar  ke to dekho naa

paa  kar  tumhe "Hriday" bhool  jaaye  duniya saari
mujhe  is  tarhaa  se  pyaar  kar   ke  to  dekho naa



Sunday, February 25, 2018




geeli si aankhon ki jo bheegi hui sharaaratein hain
ishaaron ishaaron mein humein aksar pukaartein hain

kabhi humein dekh kar apni nazrein churaa lete hain
kabhi saamne hamaare, apni zulfein sanwaartein hain


Wednesday, November 8, 2017

Woh to hum par marte hain


hamaari tasveer ko chhip chhipke dekhaa karte hain
humse unhein mohabbat hai, kehne se bas darte hain

milne ki hai khwaahish magar kisi se keh paate nahi
woh aaine ke saamne baith, sajte aur sanwarte hain

khwaab dekhaa karte hain ki baahon mein bharlen hum
aankh moond kar tanhaa hi toot_te aur bikharte hain

kehte nahi kabhi hothon se, humse woh chhipaate hain
jaante hain hum lekin yeh, woh to hum par marte hain

"Hriday" ek deewaanaa hai, kyaa kisi ko samjhaayein
kehte nahi kisi se lekin hum pyaar unhi se karte hain


Friday, October 13, 2017

De deedaar ek baar ke liye


tadap uth_te hain hum jin ke deedaar ke liye
aajaayein saamne hamaare bas ek baar ke liye

kab kahaa humne woh aake hamaari ho jaayein
bas ek jhalak bahut hogi is bimaar ke liye

mohabbat to adhuri thi, adhuri hi rahegi ab
isse buraa kyaa hogaa is gunehgaar ke liye

de den deedaar woh is dil ke sukuun ke liye
naa to inkaar ke liye, naa hi iqraar ke liye

jahaan bhi rahein khush rahein woh humeshaa
duwaayein maangte hain apne us yaar ke liye



Tuesday, October 10, 2017

Har khabar mein hoon main



veeraane se kisi shahar mein hoon main
ajnabi saa apne hi ghar mein hoon main

jo chhooke bhi chhoo naa paai kinaare ko
samundar ke har us lahar mein hoon main

afwaaon ki kami nahi hai is shahar mein
akhbaar ki har khabar mein hoon main

yun to log jaante nahi ki kaun hoon main
bhatke huwe musafir ke safar mein hoon main

dhund rahaa hoon jise mandiron mein main
woh kehtaa ki har paththar mein hoon main

Khwaab bhi tum ho

haqeeqat bhi tum ho, khwaab bhi tum ho
mere har sawaal kaa, jawaab bhi tum ho

meri subah tumhi se, shaam bhi tum se
chaand bhi tum ho, aaftaab bhi tum ho

chain bhi tum se, bechaini bhi tum se hai
seene mein uthtaa huwaa sailaab bhi tum ho


Monday, October 9, 2017

Hamaari bhool sahi



dard ke baagiche mein ek dard kaa aur phool sahi
qatl hamaaraa hi huwaa aur hamaari hi bhool sahi

kab hamaari mohabbat ko woh samajh paaye bhalaa
thik hai, humein yeh gunaah bhi hai qubool sahi




Monday, September 11, 2017

Hum panchhiyon ke par dekhte hain



zindagi mein aaj bhi teraa hi asar dekhte hain
hum ab bhi wahi raat, wahi dopahar dekhte hain

jaante hain ki mumkin nahi apnaa milan kabhi
aaj bhi teri tasveer ko hum aksar dekhte hain

hawaaon ke sangh aajaati hai kabhi yaad teri to
aasmaan mein udte panchhiyon ke par dekhte hain

kuch galtiyaan humse hi hui hongi jaane anjaane
guzraa huwaa kal, guzri hui apni umar dekhte hain

dhundte hain tujhe har taraf apne magar, har baar
band deewaarein, soonaa saa apna ghar dekhte hain

gulaabon ki mehek se door jaa hi nahi paate they
ab murjhaayaa saa apnaa hum yeh shahar dekhte hain

tere chaand se chehre ko dekhaa karte they hum kabhi
ab aasmaan mein us chaand ko hum raatbhar dekhte hain